Kambal, Coat, rajai wali, mausam ne dukan utha li. Thar thar kaampne ki aadat se, sab logon ne chhutti paa li. Jaane kya kah diya hawa ne, lagi jhoomne daali daali. Sarson ke peele phoolon se, bhari dhara ki hariyal thaali. Sunkar ke vaasanti charche, patte lage bajaane taali.
Peele paridhan pahankar, dhara khadi sajdhaj kar. rituraj taiyar khade hain, sir par sehra baandhkar. Peepal ke patton ke beech, suraj ki kirane fisali. chamak rahin os ki boondein, jaise ho moti asali. Nanhi si ek titali, apne ghar se nikali. baagon mein ki sair sapaate, phoolon ke sang kheli. Khil gayi kachchhi kaliya, os mein nahaakar. jhoom rahi hai dhara, khushi se itraakar.
आया है बसंत पुष्प खिलने लगे पशु-पक्षी आपस मे मिलने लगे ये मौसम है बसंती सुहाना बहुत वृक्ष में नवपल्लव निकलने लगे सरसो के खेत अब लहराने लगे मंद शीतल हवा गुदगुदाने लगे तुम जो आये तो आयी है बहारे चमन पुष्प पर बैठ भ्र
आया बसंत खिल गयी फुलवारी जैसे सृंगार किये हों कोई नारी पुलकित पुष्प,चहु ओर हरियाली मंद मंद शीतल हवा लगे सबको प्यारी रंग बिरंगे फूलो से महक उठी है बगिया सरसो के खेत देखकर लागे पीले दुप्पटे ओढ़ कर जैसे बैठी हो कोई द
Ritu basant ki bahar chhayi upawan mein, hariyali ne dukan sajayi upawan mein. mausam ne bhi badala hai chola apna, phoolon ne khushboo bikhrai upawan mein. kal tak saare thoonth khade the pedon ke, ab patton ki chhata muskai upwan mein. Dhoondh ki barish hoti rahi raaton mein, shabanam mein kaliyan nahaai upawan mein. Jhoom raha hai bhanwara masti mein kitna, sarson phooli nahin samayi upawan mein. rang-rang se dharti ne kiya shringar, abhinandan mein koyal gai upawan mein.3