EXAM
3Ek saal jab exam mein hota hai
har student tab mze se sota hai
jab bachte hain dus maheene
nikalte hain sab books khareedne
jab rahate hain maheene aath
abhi to hai hamare thaath
jab 6 maheene rahate hain
kal padenge hamesha kahate hain
jab bachte hain maheene chaar
teachers ki chahiye kripa apaar
ab bachte hain maheene do
ab to apni kholo
bachta hain jab maheena ek
karne hote hain kaam anek
jab hota hai time wo last
finish karna hota hai syllabus fast
exam ki jo raat aati hai
achchhe achchhon ki rooh kaamp jaati hai
paper jab aata hai haath mein
ek hi khayaal aata hai dimag mein
pada tha jab ek saal
kar lete kuch to nihaal
aisa na hota apna ye haal
paas to ho hi jaate, hum iss saal...