Kalam Ki Shakti
10Aao bachchon aaj tumhe hum,
ek baat batlaatein hain.
shakti kalam mein hoti kitani,
yah rahsaya samjhaate hain.
Kalam gyan ka deep jala kar,
andhiyaare ko harti hai.
bhaav vichaar naye parstut kar,
jag aalokit karti hai.
Sada kalam ne taakat di hai,
barachhi teer kataaron ko,
kalam jhooka sakti charano par,
toofani talwaaron ko.
Lekhak, kavigan aur vichaarak,
sabhi kalam ke gun gaate.
karti jab vidroh kalam to,
shaashan tantra ukhad jaate.
Kalam ugalati angaare aur,
amrit ka raspaan karaati.
shakti kalam ki iss dharti par,
apana abhinav roop dikhaati.
कलम की शक्ति
आओ बच्चों आज तुम्हें हम,एक बात बतलातें हैं.
शक्ति कलम में होती कितनी,
यह रहस्य समझाते हैं.
कलम ज्ञान का दीप जला कर,
अंधियारे को हरती है.
भाव विचार नए प्रस्तुत कर,
जग आलोकित करती है.
सदा कलम ने ताकत दी है,
बरछी तीर कटारों को,
कलम झूका सकती चरणों पर,
तूफानी तलवारों को.
लेखक, कविगण और विचारक,
सभी कलम के गुण गाते.
करती जब विद्रोह कलम तो,
शासन तंत्र उखड़ जाते.
कलम उगलती अंगारे और,
अमृत का रसपान कराती.
शक्ति कलम की इस धरती पर,
अपना अभिनव रूप दिखाती.
A nice poem on the power of pen ..
most wonderful isse best aur koi kalam ke importent ko nahi bata shakta..