Paryavaran Bachaao
130Aaj samay ki maang yahi hai,
paryawaran bachaao.
dhwani, mitti, jal, vaayu aadi sab,
paryawaran humare.
Jeev jagat ke mitra sabhi ye,
jeevan dete saare.
inase apana naata jodo,
inako mitra banaao.
paryawaran...
Tab tak jeev hai jagat mein,
jab tak jag mein paani.
jab tak vaaye shudh rehati hai,
sondhi mitti rani.
tab tak manav ka jeevan hai,
yah sabako samjhao.
paryawaran...
Hariyali ki mahima samjho,
vrikshon ko pehachano.
ye manav ke jeevan data,
inako apana maano.
ek vriksh yadi kat jaaye to,
gyarah vriksh lagaao.
prayavaran...
Jeev jagat ki raksha karana,
ab kartvya humara,
shor aur mitti ka sankat,
door karenge sara.
ek vriksh hum nit ropenge,
aaj shapath ye khaao.
paryavaran...
Aaj samay ki maang yahi hai,
prayavaran bachao.
पर्यावरण बचाओ
आज समय की मांग यही है,पर्यावरण बचाओ.
ध्वनि, मिट्टी, जल, वायु आदि सब,
पर्यावरण हमारे.
जीव जगत के मित्र सभी ये,
जीवन देते सारे.
इनसे अपना नाता जोड़ो,
इनको मित्र बनाओ.
पर्यावरण...
तब तक जीव है जगत में,
जब तक जग में पानी.
जब तक वायु शुद्ध रहती है,
सोंधी मिट्टी रानी.
तब तक मानव का जीवन है,
यह सबको समझाओ.
पर्यावरण...
हरियाली की महिमा समझो,
वृक्षों को पहचानो.
ये मानव के जीवन दाता,
इनको अपना मानो.
एक वृक्ष यदि कट जाये तो,
ग्यारह वृक्ष लगाओ.
पर्यावरण...
जीव जगत की रक्षा करना,
अब कर्तव्य हमारा,
शोर और मिट्टी का संकट,
दूर करेंगे सारा.
एक वृक्ष हम नित रोपेंगे,
आज शपथ ये खाओ.
पर्यावरण ...
आज समय की मांग यही है,
पर्यावरण बचाओ.
bahut sunder rachana..
Very nice.
Very good poem for school students.
very good.
very nice.
achhi hai.
great job done and nice information..
It is useful sir.
I LIKE IT.
very nice.