Raat Ka Pahra Ban Jaate Hain Pita
1
Jo dukhon ki barish mein
chhatari bankar tanate hain,
ghar ke darwaaje par nazar battu
ban kar tangate hain.
Samet lete hain sabka andhiyara bhitar,
khud aangan mein ek deepak ban jalate hain,
aise hote hain pita.
Besak pita lori nahin sunate,
maa ki tarah aanshu nahin bahaate,
par din bhar ki thakaan ke baawjood
raat ka pahra ban jaate hain pita.
Jab nikalte hain subah tinko ki khoj mein,
kisi ke khilaune,
kisi ki kitaabein,
kisi ki mithayi,
kisi ki dawaayi,
parwaaz par hote hain ghar bhar ke sapne.
pita kab hote hain khud ke apne.
Jab saanjh dhale lautate hain ghar,
maa ki chudiyaan khanakti hain,
nanhi gudiya chahakti hai.
Sabke sapne saakar hote hain,
pita us waqt avtar hote hain.
Jawan betian badnaam hone se darti hain,
har galati par aankhon ki maar padati hai.
Dar asal bhay, haya, sanskar ka bolbaala hai pita.
mohalle bhar ki jubaan ka taala hai pita.
रात का पहरा बन जाते हैं पिता
जो दुखों की बारिश मेंछतरी बनकर तनते हैं,
घर के दरवाजे पर नज़रबट्टू
बन कर टंगते हैं.
समेट लेते हैं सबका अंधियारा भीतर,
खुद आँगन में एक दीपक बन जलते हैं,
ऐसे होते हैं पिता.
बेसक पिता लोरी नहीं सुनाते,
माँ की तरह आंसू नहीं बहाते,
पर दिन भर की थकान के बावजूद
रात का पहरा बन जाते हैं पिता.
जब निकलते हैं सुबह तिनको की खोज में,
किसी के खिलौने,
किसी की किताबें,
किसी की मिठाई,
किसी की दवाई,
परवाज़ पर होते हैं घर भर के सपने.
पिता कब होते हैं खुद के अपने.
जब सांझ ढले लौटते हैं घर,
माँ की चूड़ियाँ खनकती हैं,
नन्ही गुड़िया चहकती है.
सबके सपने साकार होते हैं,
पिता उस वक़्त अवतार होते हैं.
जवान बेटियाँ बदनाम होने से डरती हैं,
हर ग़लती पर आँखों की मार पड़ती है.
दरअसल भय, हया, संस्कार का बोलबाला है पिता.
मोहल्ले भर की ज़ुबान का ताला है पिता.
Dedicated to
To All fathers
Dedication Summary
In this poem poetess Ritu Goyal has described that how a father take care of his family by giving a lot of sacrifices.
Generally every father has this type of mentality that he work hard without any complain to fulfill the requirement of his wife, son and daughter (in other word "Family").
He become happy to see his family happy.
very nice poem... sach me aise hi the mere papa....
मधुरकविता !पसंद आई!!!.