Mere pyare dadu
0Wo lori bahut alag thi,
jo mere dadu mujhe sunate the,,
wo gazar ka halwa khoye ki barfi, kehke mujhe sulate the,,
wo kandhe par baithakar apne,
muje subha ki sair karate the,,
mai jab jab ghumna cahti thi,
wo ghoda banke ghumate the,,
jab mujhe neend nahi ati thi,
kahani nayi sunate the,,
meri ek sikayat par dadu,
papa ka ghar dhoop me banate the,,
ye sab bate keh keh ke,
wo mujhko bada behlate the,,
mere pyare dadu mujhko,
mitti ka sher bulate the,,
jab saitaniyaan mai karti thi,
wo juthi daat lagate the,,
jab ankhein meri bhar aati thi,
wo dil se bada pachtate the,,
jab khana nahi mai khati thi,
apne hatho se mujhe khilate the,,
gir jati thi ladkhada ke jab,
ungli pakad ke chalna sikhate the,,
mai dadu ki ladli thi,
wo gudiyaan mujhe bulate the,,
mai nahi kehti kisi se magar,
aap mujhe bahut yaad aate hai,,
wo lori yad karte hi,
ankho me anshu bhar aate hai,,
( ab koi nahi hai dadu anshu mere pochne ke liye,,
ruth bhi jau to nakhre mere uthane ke liye,,
ab koi nahi hai dadu lori sunane ke liye,,
neend bhi na aaye to mujhko sulane ke liye,,
ab koi nhi hai dadu kahani sunane ke liye,,
puju puju pyar se mujhko bulane ke liye,,
fir kaha chale gaye dadu is duniya ko chod ke,
mujhe apni yado ke sath tanha chod ke,,
laut aao dadu meri khusi ke liye,
pyar se ek bar gale se lagane ke liye,,)

Dedicated to
My grandfather
Dedication Summary
Miss u dadu
Nice.
Very nice poem..
Mast kvita kela ahe . mnala lagli mast khrach.