Nana ji Ki Munchh
0Nana ji ki munchh,
jaise chhipkali ki punchh.
akadi rahati hardam aise,
jaise koi rassi gayi ho sukh.
Nana ji munchho par apani,
hardam dete taav.
pahalwaan ji jaise koi,
jeet gaye hon daav.
Kabhi daayin munchh to kabhi baayin fadakti,
kabhi upar uthati niche girati.
daroga ki munchh bhi
unke aage paani bharti.
Nana ji ki munchh hardam
ainthan mein rahati.
maan na girane paaye kabhi,
Hardam koshish karti.
नाना जी की मूंछ
नाना जी की मूंछ,जैसे छिपकली की पूंछ.
अकड़ी रहती हरदम ऐसे,
जैसे कोई रस्सी गई हो सूख.
नाना जी मूंछो पर अपनी,
हरदम देते ताव.
पहलवान जी जैसे कोई,
जीत गये हों दाव.
कभी दाईं मूंछ तो कभी बाईं फड़कती,
कभी ऊपर उठती नीचे गिरती.
दरोगा की मूंछ भी
उनके आगे पानी भरती.
नाना जी की मूंछ हरदम
ऐंठन में रहती.
मान न गिरने पाये कभी,
हरदम कोशिश करती.
Bal manovigyan pr aadharit kavita ke liye badhai sweekaren.
BAHUT HI ACCHA LIKHA HAI YE GEET ..KUCH MITHI YAADE TAJA HO GAI ISE PADHKER ....NEERAJ SAINI.
Bahut pyara bal geet...sach me bachchon ko bahut pasand ayega.
Ekta.