KYA AAGE BHI ESA HOGA
0NIRBHAYA KI GEHRI NEEND,
CHEEKH CHEEKH KAR KEHTI HAI
JAISA MENE PAYA HAI,
KYA AAGE BHI VAISA HOGA
DARINDE MAJAK BANAYENGE,
HARDUM SAMVIDHAN KO JHUKAYENGE
KAB BADLEGA YE BHARAT,
YA AAGE BHI ESA HOGA
8 SAAL KE BHITAR BHITAR,
LAKHO JURMA DARJ HUE
PAR DASHA TO DEKHO NYAYALYA KI,
SUNVAYIO KE HATHE KUCH CHAND HI CHADE
2012 KI GHATNA,
JISNE SABKO DEHLA DIYA
ITNI BEREHMI SE MAUT,
SABKO SHARM SE JHUKA DIYA
PAR HARI NHI WO NANHI PARI,
AMAR USE KEHLANA THA
AUR AAGE ESE HATHIYARO KO,
TAMACHA YAAD DILANA THA
PAR KARTI KYA WO VEER JAAN,
JAB 5 DARINDE AAGE THE
HATH ME ROD LIYE,
ISPAR JASHAN MNA RHE THE
CHILLATI RAHI BHARI DILLI ME,
PAR KOI SAMNE NA AAYA
AUR USI BAAT KA UN DARINDO NE
BHARPOOR FAYDA HAI UTHAYA
ANT ME NIRBHAYA KO,
MAUT KO GALE LAGANA PADA
AUR DESH ISS VISHAY KO BHI,
RAJNITI ME TOLNE PAR TATPAR KHADA
ARE RAVAN NE TO SITA HARI THI,
AUR HAR SAAL PUTLA JAALATE HAI
AUR ESI DARINDGI BHARI MAUT KO,
RAJNITI ME TAMASHA BANATE HAI
WAQT HAI SUDHARNE KA,
SAMVIDHAN PE PARIVARTAN KARNE KA
NAHI TO ESA HI HOTA AAYA HAI,
AUR AAGE BHI ESA HOGA

Dedicated to
NIRBHAYA
Dedication Summary
This poem (basically in Hindi) is dedicated to all women. Rape is a dangerous evil of our society, it spoils the life of the women, so this poem is to bring change in society, change in politics, bring amendments...