Hamein Tera Sahara Hai
1Hamen ummeed hai teri hamen tera sahara hai.
hamen kya kaam duniya se agar jo tu hamara hai.
Hamen majhdhaar main rehkar tammana-a-nahi sahil,
hamen kya kaam sahil se hamara tu kinara hai.
Tumhe dekha sanam jab se mere haalat aise hain,
milo na raat ho meri, Milo to din hamara hai.
Hamen kya chand ki khwahish, hamen sooraj ki parwah kya
jo dil ko karta hai roshan wohi tara hamara hai.
Hum se cheenegi duniya bhale kaise mohhobat ko,
hamare dil main hai bas tu, hamara dil tumhara hai
Jhukaoon sar main kyoun apna kisi mandir main masjid main
hamara ram hai tu hi, tu hi allah hamara hai.
Abhivrat Akshansh "Raj"