Har Lamha... Ek Sangharsh!!!
89
Har Lamha ... Ek Sangharsh !!!
Kisne jana hai kal ko,
Sabne sirf mana hai kal ko,
Kal tha jo woh aaj nahi,
Aaj hai jo woh kal nahi,
Har ghadi ek chunauti hai,
Har pal ek intejaar,
Satya toh bas ek hai -
Har lamha ek sangharsh hai…
Jis tarah jalti hui lauh ,
Andhkaar se ladti hai,
Jis tarah aandhi mein khada vricha,
Apne vajood se ladta hai,
Ussi tarah har manush,
Apne aane waale kal se ladta hai,
Kyunki janta hai woh -
Satya toh bas ek hai -
Har lamha ek sangharsh hai…
Darta hai woh jisne girna nahi sikha,
Utha hai woh jisne girke darna hai seekha,
Chaha hai jisne, mila usse kuch nahi,
Mila hai usse jisne jujha ha khudh se,
Geeta ka bhi toh yahi saar hai -
Har lamha ek sangharsh hai…
Amar kaun hai ?
Mrityu ka jisse bhaye nahi,
Chor kaun hai?
Satya ko jisne kabhi apnaya nahi,
Safal kaun hai?
Bhagya ko jisne kabhi kosa nahi,
Bhumandal mein jana jisne kewal ek hi satya ko,
Har lamha ek sangharsh ko….
Akanksha
Dedicated to
To all of us... never give up in life. life is not easy but its worth living.
Dedication Summary
Well I see people giving up there lives just for silly reasons , without thinking - the actual aim or the main motive behind their survival. Be it children or adults - value life!!! failure is meant to show that success is nearby , be patient and keep up the spirit of life .
What a nice poem it is.....
It is very very very nice poem..