MANU HOON MAIN
1Uttam hai parihas karen
jan mil sab mujhe hatash karen
jab bhi main chintamagn rahoon
mujh vyathith ko aur nirash karen
Hridya vicched ko pratha kahen
ham maun rahen aur vyatha kahen
karen bhrmit wah katha kahen
nav aachepon ka nyaas karen
Uttam hai parihas karen
jan mil sab mujhe hatash karen
jab bhi main chintamagn rahoon
mujh vyathith ko aur nirash karen
Manu hoon main jhukta hi nahi
Veg hoon main rukta hi nahi
kare cheshtha vishav nirantar
gyan hoon main lut-ta hi nahi
kitne hi athak prayas karen
Uttam hai parihas karen
jan mil sab mujhe hatash karen
jab bhi main chintamagn rahoon
mujh vyathith ko aur nirash karen
Amazing stuff. It's my pleasure to find this :).
Great .... i love the hindi that you use. Best Wishes..