Suraj paana hai
6Main nanha sa ankur mujhko,
suraj paana hai.
aandhi paani tej hawaayein,
sheet lahar toofani.
jaana mujhko door bahut hai,
raah badi anjaani.
chaaro taraf bawandar fir bhi,
jade jamaana hai.
suraj paana...
Phool hamesha kabhi khile bas,
ek baar khilata hai.
yah jeevan aisa jeevan jo,
ek baar milata hai.
iss chhote se jeevan mein kuchh,
kar dikhalaana hai.
suraj paana...
mere jaise aur bahut se,
ankur jag mein honge.
andhkaar se ghabraaye we,
sahame sahame honge,
inake bhitar kuchh karne ki,
alakh jagaana hai.
suraj paana...
Dharti hari bhari hogi jab,
ankur mehakenge.
inake mann mein rahane waale,
pakshi chahkenge.
maine thaan liya hai saara,
jag mehakaana hai.
suraj paana...
Main nanha sa ankur mujhko,
suraj pana hai.
सूरज पाना है
मैं नन्हा सा अंकुर मुझको,सूरज पाना है.
आंधी पानी तेज हवायें,
शीत लहर तूफानी.
जाना मुझको दूर बहुत है,
राह बड़ी अनजानी.
चारो तरफ बवंडर फिर भी,
जड़े ज़माना है.
सूरज पाना...
फूल हमेशा कभी खिले बस,
एक बार खिलता है.
यह जीवन ऐसा जीवन जो,
एक बार मिलता है.
इस छोटे से जीवन में कुछ,
कर दिखलाना है.
सूरज पाना...
मेरे जैसे और बहुत से,
अंकुर जग में होंगे.
अन्धकार से घबराये वे,
सहमे सहमे होंगे,
इनके भीतर कुछ करने की,
अलख जगाना है.
सूरज पाना...
धरती हरी भरी होगी जब,
अंकुर महकेंगे.
इनके मन में रहने वाले,
पक्षी चहकेंगे.
मैंने ठान लिया है सारा,
जग महकाना है.
सूरज पाना...
मैं नन्हा सा अंकुर मुझको,
सूरज पाना है.
The BEST poem.
A wonderful motivational poem.
manav ko vikas ke path per badhne ki shiksha dene vali sunser kavita.
THE BEST POEM OF POEMOCEAN ..
जीवन में कुछ करने और आगे बढ़ने की प्रेरणा देनेवाली बहुत शानदार बाल कविता.
इसप्रकार की कविता पाठ्यक्रम में रखनी चाहिए.
Wonderful poem.
What a wonderful poem . suitable for the TEXT BOOKS of children.
Really a nice poem with a massage..
Nice poem.