Mushtaq Hu Teri Inayat Ka
0
Jab alfaaz teri ta'areef maiN zakheraaN hojayeNge
Tere sang guzre lamhoN ki yaadeN phir se jawaaN hojayeNge
Mushtaq huN teri inayat ka, badal le tera ye gafilana mizaj
phir dekh tere khayaloN ke karwaaN bhi sehraaoN se rawaaN hojayeNge
Mujh me jo hai tere qarb ki justajuu, hoti hai zahir meri tahreer se
Ise padh lena, shayad tere irade mujhpe mahrbaaN hojayeNge
Istarah chamakta hai tera aks-e-ajmal meri ankho me
NazareN milakar dekh, duur sari teri qiyaas-e-araaiyaaN hojayeNge
Na katega safar zindagi tanaha, hogi raah dushwaar ek dusre ke bina
Thaam le haath mera, tabdeel guuloN me apni raah ke saare mageelaaN hojayeNge
Mai housala kiyuN khoduN, be wajah hi na ummid kiyuN ho luN
Muntazir huN us ghari ka, jisme muqararr tere dilme mere liye AashiyaaN hojayeNge
Kab tak chupayega tu apne jazbaat ko, ab nahi der apni mustahkam mulaqaat ko
Jab mai chuu luN hontoN se jabeeN teri, aankho se saare raaz bayaaN hojayeNge
Ek din intezaar, sabr-o-tahmmul rang layega mujh ravadar ka
Jo muje gair jante haiN wobhi us din mere raazdaaN hojayeNge