My ashar 2
0Pehle tumse zyada pasand thi nind
Ab nind se zyada aziz ho tum
Khuda kare mere dil se wo ab nikal jaye
Yaad main karta hu lekin, use taklif hoti hai
Jis se gazarte hain hum ishq me mansoor
kisi k bas ka nhi sehna itna dard roz roz
Aaj phir unhi yaado ne rulaya hai bahut
Jinhe main zindagi kehta hu meri qatil hain
Ab dil mein badi khamoshi hai
... Ek shor sunayi diya tha raat
Unke ansuo se mera dil pighle
Wo rote hain bahut ehtiyat se
Ishq hota to seh gaye hote
Diwangi hai kya kiya jaye
Zinda tha mera dil ise lasha bana diya
Kesa mohabbato ne tamasha bana diya
Mansoor
زندہ تھا میرا دل اسے لاشا بنا دیا
کیسا محبتوں نے تماشا بنا دیا
منصور
Ye oonchi chotiya, Sara jahaan chhoo sakta hu
Tum agar sath do main asmaan chhoo sakta hu
Yu khuda ki bhi har baat na maan
Pehle tafteesh kar khuda ko pehchan
Hazaar sajde kar magar... Ghhaafil
Husne akhlaq bin.... Akaarat hai
Yuhi kab tak bahega khoon sahib
Kitni lashein uthayi jayengi