Sayaani Dhoop
0Aate hi sardi ka mausam,
humein suhaati dhoop.
garmi ke mausam mein banati,
ajab gazab toofani dhoop.
varsha ke mausam mein bachchon,
karti hai naadaani dhoop.
ghane baadalon mein chhip jaati,
banati badi syani dhoop.
pal-pal apna rang badalti,
karti hai manmaani dhoop.
jeevan dekar dharti maa ko,
ban jaati abhimaani dhoop.
सयानी धूप
आते ही सर्दी का मौसम,हमें सुहाती धूप.
गर्मी के मौसम में बनती,
अजब ग़ज़ब तूफ़ानी धूप.
वर्षा के मौसम में बच्चों,
करती है नादानी धूप.
घने बादलों में छिप जाती,
बनती बड़ी सयानी धूप.
पल-पल अपना रंग बदलती,
करती है मनमानी धूप.
जीवन देकर धरती माँ को,
बन जाती अभिमानी धूप.
Dr. Parshuram Shukla
. All rights reserved.