Prabhu ji De Do Dya Ka Daan
0Prabhu ji de do dya ka daan,
jeevan mein na ho vyavdhan.
Dookh santap sabhi mit jaayein,
door rahein vipda na aayein.
Mann mein ho gunon ka vaas,
avgun ka ho jaaye naash.
Sundar ho jaaye savbhaav,
apnepan wala ho bhaav.
Nis-din naam tumhara dhyaaun,
tere gunon ka yash gaaun.
Prabhu ji de do dya ka daan,
jeevan mein na ho vyavdhan.