Nadi
112Nadi nikalti hai parvat se,
maidaano mein behati hai.
aur ant mein mil sagar se,
ek kahaani kehati hai.
Bachapan mein chhoti thi par main,
bade veg se behati thi.
aandhi-toofan, baadh-bawandar,
sab kuchh hanskar sehati thi.
Maidano mein aakar maine,
sewa ka sankalp liya.
aur bana jaise bhi mujhse,
manav ka upkaar kiya.
Ant samay mein bacha shesh jo,
sagar ko upahaar diya.
sab kuchh arpit karke apane,
jeevan ko saakaar kiya.
Bachchon shiksha lekar mujhse,
mere jaise ho jaao.
sewa aur samarpan se tum,
jeevan bagiya mahakaao.

नदी
नदी निकलती है पर्वत से,मैदानों में बहती है.
और अंत में मिल सागर से,
एक कहानी कहती है.
बचपन में छोटी थी पर मैं,
बड़े वेग से बहती थी.
आँधी-तूफान, बाढ़-बवंडर,
सब कुछ हँसकर सहती थी.
मैदानों में आकर मैने,
सेवा का संकल्प लिया.
और बना जैसे भी मुझसे,
मानव का उपकार किया.
अंत समय में बचा शेष जो,
सागर को उपहार दिया.
सब कुछ अर्पित करके अपने,
जीवन को साकार किया.
बच्चों शिक्षा लेकर मुझसे,
मेरे जैसे हो जाओ.
सेवा और समर्पण से तुम,
जीवन बगिया महकाओ.
Nice poem.
Nice poem.
Wonderful poem im written in my project.
Very very nice poem.
Great and very nice poem everyone watching it please rate it.
Nice Hindi poem very good vinnodum for now you know the importance of river thank you sir.
NYC poems.
Very nice and simple poem.
Nice.
Very nice but plz........ put some poems on waterfalls plz.............