Sagar wo kahlata yu
0Vishal harday ho jiska
Sagar yu kahlata wo
Jeev jantu sare yu usme bhi chip jate kyu
Neela neela sa sunder
Dharti ka anmol ratan
lahrata sa wo toh yu
Suraj ki kirano me yu
khud ko sama leta
Kabhi chandani ki chamak me
Khud bhi yu naha leta
Gumsum kabhi wo yu rahta
lahro se bathe wo karta
Varsha ritu me wo bhi
Apne suro me gaya karta
Nadiya aakar usse milti
Apne dil ka hal batati
Bate wo unse yu kabhi kar liya karta
Rup kabhi na badla karta
Har rang me dhal jaya karta
Jeevan ham bhi yu banaye
Uske jaisa jeeya jaye
Sagar phir gagar ban jaye
