Chilame (Blood Pheasant)
1Him parvat par rahane wala,
chilmein Bharatwasi.
khule vaon mein vicharan karta,
pakshi barahmasi.
Chehara lal rang ka iska,
kuchh chamkila kala.
vrikshon par yah kare basera,
pakshi bada nirala.
Bhojan karne bade savere,
dharti par aa jata.
kaai, paudhe, phool, beriyan,
shaam dhale tak khata.
Daud lagata shatru dekh kar,
jhaadi mein chhip jata.
alag hua yadi yah samooh se,
de aawaj bulata.
Bharat mein paya jata yah,
Sikkim se Arunachal.
agar paaltu bana sako to,
khayega meethe phal.
Dedicated to
Chilame (Blood Pheasant)
Dedication Summary
Chilame (Blood Pheasant) is the state bird of Sikkim.