Shikshak Aur Sahityakaar
3Shikshak aur sahityakaar ka,
jeevan swarn kamal jaisa.
lekin isko banaa diya hai,
humne khote sikke sa.
Sachche yug nirmata hain ye,
lekin koi maan nahin.
ghar baahar pure Bharat mein,
inhe kahin samman nahin.
Chhote bade sabhi logon ke,
bachche inse parhte hain.
shikshak ban kar ye samaaj ke,
bhagya vidhata garhte hain.
Kavigan, lekhak aur vichaarak,
srijan dharm apnaate hain.
kintu srijan ke badle humse,
ye aansu hi paate hain.
Bharat swarg banaana hai to,
sab milkar kar yah kaam karo.
shikshak aur sahityakaar ka,
jeevan bhar sammaan karo.
शिक्षक और साहित्यकार
शिक्षक और साहित्यकार का,जीवन स्वर्ण कमल जैसा|
लेकिन इसको बना दिया हैं,
हमने खोटे सिक्के सा|
सच्चे युग निर्माता हैं ये,
लेकिन कोइ मान नहीं|
घर बाहर पुरे भारत में,
इन्हे कहीं सम्मान नहीं|
छोटे बड़े सभी लोगों के
बच्चे इनसे पढ़ते हैं|
शिक्षक बन कर ये समाज के,
भाग्य विधाता गढ़ते हैं|
कविगण, लेखक और विचारक,
सृजन धर्म अपनाते हैं|
किन्तु सृजन के बदले हमसे,
ये आंसू ही पाते हैं|
भारत स्वर्ग बनाना है तो,
सब मिलकर ये काम करो|
शिक्षक और साहित्यकार का,
जीवन भर सम्मान करो|